Behan Mai Saath
rasan may bandh chuka gala lo chal pada wo khafila
behan ghareeb nawhagar sina pe jab padi nazar
khamosh thay shaheed sab aqi ke hil rahe thay lab
sina pe ho to kya huwa tu hausla na haarna
behan mai saath saath hoo
ghareebe karbala behan
diler e ba-wafa behan
ghamo ki alqama behan
meri musafira behan
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
behan mai saath….
wafae wada ho chuka
sina talak mai aagaya
mai apna kaam kar chuka
meri shareeke karbala
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
behan mai saath….
ye rassiyan ye bediyan
qadam qadam be sakhtiyan
rida baghair bibiyan
behan kada hai imtehan
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
behan mai saath….
agar hai raasta kathan
zara na darr meri behan
tu berida mai bekafan
hai waqt hausla shikan
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
behan mai saath….
qadam qadam shahadatein
guzar gayi qayamatein
abhi hai aur aafatein
sambhaal ab amaanatein
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
behan mai saath….
koi bhi ab nahi bacha
bas abid e shakista pa
ye saare baane ghamzada
giray jo khaake ghash zara
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
behan mai saath….
behan teher teher yahin
laraz rahi hai kyun zameen
sakina girgayi kahin
na mil sake jo woh hazeen
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
behan mai saath….
bahot qareeb shaam hai
hujoome khaaso aam hai
yazeede bad kalaam hai
ye waqte inteqaam haio
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
behan mai saath….
rehaan o sarwar e aza
jo shaam pahuncha khafila
sare hussain ne kaha
ulat de takht shaam ka
tu hausla na haarna
sina pe hoo to kya….
1,044 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot