Bhaiya Mujeh Bhool Na Jana

Sab phoolon ke gehnay may sanwari dulhan aaye
Tum jaise ho bas waise hi pyaari dulhan aaye
Sar pe agar sehra sajana, Hatho pe kangnaa jo bandhana (x2)
Bhaya mujhe bhool na jaana

  1. Fatema Sughra ne ye Akber ko likha hay,
    Bhayi salaamat raho behna ki duwa hay,
    Baad duwa dil me ye armaan basaa hay,
    Masnade shaadi jo bichaana, Bhaya mujhe bhool na jaana (x2)
  2. Baba ki aggosh-me mai bhi to pali hu,
    Bhaiya teri ungli pakar kar me chali hu,
    Kya may tere chaawon se mehroom rahi hu,
    Baba ki jab chawon me janna, Bhaya mujhe bhool na jaana (x2)
  3. Baba se kehna ke meri jald khabar lain,
    Toot na jaaye kahi baba meri saasain,
    Kat-ta nahi din na guzarti hai ye raatain,
    Khat mera baba ko sunana, Bhaya mujhe bhool na jaana (x2)
  4. Bhaiya tere baad jo din eid ka aya,
    Eid ke din eid me gham mene hay paaya,
    Mujko bhare ghar ki judaayi ne rulaaya,
    Dukh ye mera sab ko bataana, Bhaya mujhe bhool na jaana (x2)
  5. Sunti hu kerbal ki bohot garm hawaa hay,
    Amma se kehne ke ye Sughra ne kahaa hay,
    Phool sa Asghar jo mera sath gayaa hay,
    Dhoop se jab usko bachaana, Bhaya mujhe bhool na jaana (x2)
  6. Behno ka dil jaane jigar hota hay bhaayi,
    Ankh theher-ti hay jidhar hota hay bhaayi,
    Mere tarapne ka asar hota hay bhayi,
    Tum ho jahan mujko bulanaa, Bhaya mujhe bhool na jaana (x2)
  7. Bhaya mujhe rehta hai har waqt ye ehsaas,
    Bhool gaye kya mujhe mere chacha abbas,
    Aye alam aye Sakina ho mere paas,
    Aas meri toar na jana, Bhaya mujhe bhool na jaana (x2)
  8. Amma se kehna ke Sakina ki kasam hay,
    Faasla ab qabr se beemaar ka kam hay,
    Dair na ker na ke mere honton pe dam hay,
    Haath duwa ko jo uthana, Bhaya mujhe bhool na jaana (x2)
3,769 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot