amma ruka na shimre layeen mere bayn se
sattar qadam thi door ye zainab hussain se
bhai bhai pukaarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma
shimr ne ki phir aisi gustaakhi mujhse dekha nahi gaya amma
bhai bhai pukaarti…
tum jo zulfein sawaara karti thi unhi zulfon may haath tha uska
jahan bosay diye thay nana ne usi gardan se khoon tapakta tha
sar e shabbir yun uthaye huwe shimr qaime tak aagaya amma
bhai bhai pukaarti…
dekh kar mujhko bain karte huwe shimr har baar muskurata raha
meri nazron ke saamne zaalim waar ginkar churi chalata raha
tera zarbein thi kund khanjar tha aur shabbir ka gala amma
bhai bhai pukaarti…
charon jaanib se ghayr rakha tha tere noor e nazar ko lashkar ne
teer barsaata tha koi uspar koi pathar se maarta tha usay
rayt zakhmo pe wo giraata raha jisko pathar nahi mila amma
bhai bhai pukaarti…
taygh jis dam koi chali uspar haye abbas keh ke roya tha
teer peshani pe laga jis dam haye asghar zaban pe aaya tha
haye akbar pukara bhaiya ne jab bhi naiza koi laga amma
bhai bhai pukaarti…
jab chalaya tha shimr ne khanjar maine aankhon se apni dekha tha
haath apne uthake pehlu se tune sookhe galay pe rakha tha
ungliyan zakhmi hogayi hongi haath mujhse to na chupa amma
bhai bhai pukaarti…
aisi nafrat thi unke seeno may ye bhi socha na sham walon ne
deene islam may jabeen raah tak zibha pyase nahi kiye jaate
teen din se hussain pyasa hai ye bhi socha nahi gaya amma
bhai bhai pukaarti…
maa ye zainab se kehti thi akbar meri aaghosh may tha sar uska
maine gardan ko kat-te dekha tha maine saanson ko rukte dekha tha
haye aakhri baar zere khanjar hi maine shabbir se suna amma
bhai bhai pukaarti…