Bazaar May Zainab

bazaar may zainab ne marne ki dua maangi
jab sham ke logon se abid ne rida maangi

rukhsaar sakina ke kuch aur huwe neele
jab saaye may aane ki bachi ne riza maangi
bazaar may zainab…

jo raah may chubte thay abbas ki behno ko
un kaanton ne khud rokar mehdi se saza maangi
bazaar may zainab…

apne liye dono ne ummat se na kuch maanga
zainab ne kafan maanga sarwar ne rida maangi
bazaar may zainab…

ehsaas e yateemi phir hone laga zainab ko
jab ghazi ne bibi se marne ki riza maangi
bazaar may zainab…

zaalim ne talab ki hai wo bachi kaneezi may
shabbir jo beti tujhse ay khuda maangi
bazaar may zainab…

ya rab mujhe dikhlaade kaisi hai meri sughra
ye aakhri hichki may akbar ne dua maangi
bazaar may zainab…

rakhde thi haath apne maa bachi ke honton par
jab bali sakina ne marne ki dua maangi
bazaar may zainab…

sughra ne duaon may sajjad na kuch maanga
baade ali akbar jo maangi ko khaza maangi
bazaar may zainab…

1,022 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot