Bhaiya Ghareeb Zainab

bhaiya ghareeeb zainab tera kafan na laayi
laashe hussain par hai zainab ki ye duhaayi

misle batool haq se mehroom hoo mai ab tak
shabbir tere gham may maghmoom hoo mai ab tak
tadpa rahi hai mujhko abbas ki judaai
bhaiya ghareeeb zainab….
ay mere bhai hussain

afsos ke sakina naazon se jo pali hai
jo tumko yaad karke zindan may chal basi hai
usko mili na bhaiya zindan se rehaai
bhaiya ghareeeb zainab….
ay mere bhai hussain

humpar sitam ay bhaiya dhaate rahe sitamgar
saydaniyo ke sar may aati thi khaak udkar
bazaar ka wo manzar zainab na bhool paayi
bhaiya ghareeeb zainab….
ay mere bhai hussain

baalon se moo chupakar bazaar may gayi thi
narghe may ashkiyan ke be-parda mai khadi thi
guzri hai kya behan par kaise bataun bhai
bhaiya ghareeeb zainab….
ay mere bhai hussain….

sajjad ke ye sar par dushwaar marhala tha
zanjeer ko sambhale bemaar ro raha tha
aale nabi khule sar darbaar may jo aayi
bhaiya ghareeeb zainab….
ay mere bhai hussain….

sabse badi musibat kya hai kisi ne poocha
bemaar sar jhuka kar rote huve ye bola
behno ka shaam jaana zainab ki be-ridayi
bhaiya ghareeeb zainab….
ay mere bhai hussain….

is ek saanahe aksar mohib ne socha
barbaad hogaya jab aale nabi ka kunba
baad e hussain kyun kar baaqi rahi khudaayi
bhaiya ghareeeb zainab….
ay mere bhai hussain….

1,314 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot