ay musafir be kafan tu khaak par wa hasrata
mai musafir sham ki hoo dushmano may be rida
alwida alwida alwidaboli zainab ay mere majaye ye kya haal hai
kaise pehchanu tera laasha bahot pamaal hai
aah re anta aqi kya hai tu hi bhaiya mera
mai musafir sham…
ay musafir be kafan…
kya tumhi ibne zehra kya tumhi ibne ali
kya tumhi bhai hassan ke aur jaane zainabi
ay gule baaghe mohamed haal ye kya hogaya
mai musafir sham…
ay musafir be kafan…
na rahi nalayn na malboos na dastaar hai
ay ghareebe fatema tu khuld ka sardar hai
ay tane uryan tera to aaj sab kuch lutgaya
mai musafir sham…
ay musafir be kafan…
mai rasan basta chali waada nibhane ke liye
ghar may qaatil ke teri masnad bichane ke liye
kal yehi masnad bana dungi farshe aza
mai musafir sham…
ay musafir be kafan…
bhai amma aur nana ka padar ka waasta
baat kar mujhse baradar khol de aankehin zara
dekh to chehra behan ka kis khadar murjha gaya
mai musafir sham…
ay musafir be kafan…
laashaye be-sar tadap kar ye sada dene laga
ay behan waada nibhake mai to maqtal se chala
thi sada rehan o sarwar haye khaahar alwida
mai musafir sham…
ay musafir be kafan…
927 Views