Baba Mere Seene Se

shabihe imam e zamaan khaynchte hai
tasavvur may tasveere jaan khaynchte hai
kaha roke akbar ne ay dard thamja
ke seene se baba sina khaynchte hai

akbar ne kaha rokar ay dard zara tham ja
baba mere seene se sina khaynch rahe hai

ay behte lahoo ruk ja hai waasta sughra ka
baba mere seene se sina khaynch rahe hai

patti mere baba ne aankhon pe nahi baandhi
di hai khule haathon se ran may meri qurbani
ay dada khaleel aao hai waqt qayamat ka
baba mere seene se…
akbar ne kaha rokar…

yasrab ki taraf aankhein har dum meri rehti hai
ab waqt bahot kam hai saansein bhi ulajhti hai
qasid meri sughra ke jaldi se zara aaja
baba mere seene se…
akbar ne kaha rokar…

akbar ki guzaarish hai lilaah na radh karna
jab aapka sheva hai dunya ki madad karna
baba ki madad karne aajaiye ay dada
baba mere seene se…
akbar ne kaha rokar…

dekha nahi jaayega aankhon se kabhi meri
tadpoonga agar mai to takleef unhay hogi
ulfat ka taqaza hai larze na badan mera
baba mere seene se…
akbar ne kaha rokar…

armaan jo dil may hai dil may hi na dafnade
aisa na ho zainab ko jaakar koi batlade
pyari phupi amma se bardaasht na ye hoga
baba mere seene se…
akbar ne kaha rokar…

marne ka nahi hai gham gham hai to bas itna hai
darwaze pe muddat se baithi hui sughra hai
sunkar ye khabar shayad marjayegi wo dukhiya
baba mere seene se…
akbar ne kaha rokar…

kehta tha takallum wo himmat jo meri hoti
khud apne hi haathon se mai khaynchta ye barchi
takleef nahi apni hai dard mujhe iska
baba mere seene se…
akbar ne kaha rokar…

1,566 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot