Bas Raaj Karegi
ghaibat ka parda uthne do
jo dekh rahe hai hum logon
tum bhi dekhoge yaad rakho
zulm phir zulm hai khoon phir khoon hai
zulm phir zulm hai badta hai to mit jaata hai
khoon phir khoon hai tapkega to jam jaayega
khaak e sehra pe jamay ya kafe qaatil pe jamay
farq e insaaf  pe jamay ya paaye salaasil pe jamay
tere bedaat pe ya laashaye bismil pe jamay
khoon phir khoon hai tapkega to jam jaayega
jo roze ajal tay paaya tha saabit hua roze ashura
yeh kal bhi hamara daawa tha yeh aaj bhi hai apna hai dawa
zillat hai muqaddar baatil ka bas raaj karegi karbobala
daur ho chahe koi bhi hai khuda ka faisla
bas raaj karegi karbobala
zillat hai muqaddar…
bas raaj karegi…
karbala ka raaj hi deene khuda ka raaj hai
khanjaro ki maut hai ye khoon ki meraaj hai
nauke naiza par ali ke laal ne saabit kiya
bas raaj karegi…
zillat hai muqaddar…
bas raaj karegi…
khoon behkar bhi amer hay zulm ko maut aagayi
gir gaya darbar baatil karbala hai aaj bhi
ab bhi ye lehra ke kehta hai alam abbas ka
bas raaj karegi…
zillat hai muqaddar…
bas raaj karegi…
zulm ki baat hi kya zulm ki auqaat hi kya
zulm phir zulm hai aghaaz se anjam talak
zulm ki qismat-e-nakara aur ruswa se kaho
jabr ki hikmat-e-purkaar ki imaan se kaho
khoon deewana hai daaman pe lapak sakta hai
khoon phir khoon hai tapkega to jam jaayega
zulm ki sheh-ragh jo kaate khoon wo shamsheer hai
jabr ko qaidi jo karle khoon wo zanjeer hai
khoon ke aansu bahakar di ye abid ne sada
bas raaj karegi…
zillat hai muqaddar…
bas raaj karegi…
shaam ke darbar may hai binte zehra berida
ye wo manzil hai jahan par sabr khud ronay laga
baap ke lehje may khutba deke zainab ne kaha
bas raaj karegi…
zillat hai muqaddar…
bas raaj karegi…
ho kisi qaatil ka khanjar ya ho damane zameen
khoon ki surkhi takallum chup nahi sakti kahin
har gali may hai ye naara aaj bhi darwesh ka
bas raaj karegi…
zillat hai muqaddar…
bas raaj karegi…
tumne jis khoon ko maqtal may dabana chaha
aaj wo koocha-o-bazar may aa nikla hai
kahin shola kahin nara kahin patthar bankar
aisay sholay ke bhujao to bhujaye na banay
aisay naare ke dabao to dabaye na dabay
labbaik ya hussain
825 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot