Bazar e Shaam Agaya
bazare shaam aagaya
akbar mere jawan, kisko bulaae maa
zainab ki lo khabar, abid hai natawan
bazare shaam….
dashte bala ko chor kar khake shifa ko od kar
ay faqre kibriya suno kehti hoon hath jodh kar
kaise chalegi maa ay mere noujawan
bazare shaam….
qismat ki paasban hai wo khairunnisa ki jaan hai wo
ghurbath ki intehaan hui ghairon ke darmiyan hai wo
shazadiye jina sehti hai saqtiyaan
bazare shaam….
qatil tera mere pisar sajjad ka hai humsafar
kam to nahi hai ye sitam sehta raha hai wo magar
kaise sahe bhala bemaar saar baan
bazare shaam….
maine suni hai ye sada kehte hai shaam may sabhi
badla ali ka lenge hum binte ali se aaj hi
pathar se hai bhari logon ki jholiyaan
bazare shaam….
na-mehrumo ki bheed may uth-thi nahi nazar meri
abbas ki qasam nahi tashnalabi ka gham koi
dukh hai ye meri jaan sehmi hai bibiyaan
bazare shaam….
paala hai jisne umr bhar akbar tujhe hijab may
ghazi ke saamne bhi wo beta rahi naqaab may
ghairon may berida jaati hai allama
bazare shaam….
noke sina ko dekh-kar yawar ye keh rahi thi maa
aa dekh tu bhi noujawan maadar ka apni imtehan
aankhen na band kar ghairath se aasman
bazare shaam….
7,462 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot