Embark on a Spiritual Odyssey: Join Our Journey from Iran to Iraq.

Baghdad Ka Qaidi
ya musa e kazim, haye haye imam kazim imam
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai
bazar-e-shaam hai aankhon may sajjad ka lab par nauha hai
kar kar ke yaad…
khud qaid jahan par kazim hai har din hai raat ke jaisa
zindaan hai ye bhi tang magar har raat raza ka baba
zindaan-e-shaam jo yaad aaye deewar se sar takrata hai
kar kar ke yaad…
hai door nigahon se lekin iska bhi jawan hai beta
jab yaad raza ki aati hai rukh karke karbobala ka
zakhmi akbar ke seene ke nazron se bosay leta hai
kar kar ke yaad…
jab shaam ke saaye badte hai badti hai sadaye girya
ek dard sa dil may uth-ta hai kehte hai tadap kar maula
hai saath raza ke masooma zindaan may sakina tanha hai
kar kar ke yaad…
mazloom paraye des may hai dhaaras hai dil ko phir bhi
mil jayega mujhko ghusl-o-kafan basti hai musalmano ki
mazloom hussain ki ghurbat par dil khoon ke aansoo rota hai
kar kar ke yaad…
hai chauda baras se qaid magar phir bhi wo yehi hai kehta
abid ka ruku aur mera ruku ek jaisa nahi ho sakta
mai tanha hoo wo maa behne bazaar se lekar guzra hai
kar kar ke yaad…
mazloomi matam karti hai padhti hai ghurbat nauha
wo jiske dada ko aakar jibreel jhulaye jhoola
laasha uska mazdooro ne baghdad ke pul par rakha hai
kar kar ke yaad…
baghdad ke qaidi ne har dum abid pe kiya hai girya
lekin akbar is ghurbat par sajjad bhi rota hoga
zanjeero may tha jakda hua jab kazim ne dum toda hai
kar kar ke yaad…
843 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot