Ay Meri Laadli
badne laga jab shame gariban ka andhera
zainab ne kisi shaks ko aate huwe dekha
tum kaun ho jab saaniye zehra ne ye poocha
chehre se naqaab apne uthakar wo pukara
ke aaya hai najaf chor ke beti tera baba
ay meri laadli zainab
sunkar teri awaaz lahad chor chuka hoo
tere liye main bandhe kafan tod chuka hoo
naazon ki pali aa meri aaghosh may aaja
ay meri laadli…
abbas ka baba hoo khabar hai tujhe beti
ghairat mujhe nazron ko uthaane nahi deti
beparda hai tu baap se dekha nahi jaata
ay meri laadli…
kaisa hai sitam tera bhara ghar hua khaali
pardes may tu ho gayi bin bhaiyon waali
tu rolay alamdaar ko mai deta hoo pehra
ay meri laadli…
bachon ko ghulamon ke barabar hi samajhle
bete na samajh khadim e akbar hi samajhle
kar aun o mohamed pe bhi kuch dayr to girya
ay meri laadli…
ghairo ki tarha door wo kyun baithi hai jaakar
mai aa na saka uska padar tha tahe khanjar
kya roothi hai is baat pe dada se sakina
ay meri laadli…
kal se hai safar tera bohat door ka beti
ye soch ke phat-ta hai kaleja mera beti
paidal tujhe aadat nahi chalne ki zyada
ay meri laadli…
zainab ne takallum kaha haye mera parda
jab bolay ali shaam ke darbaar hai jana
tu tanha nahi jaayegi mai saath chalunga
ay meri laadli…
947 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot