Chale Aao Ay Zawwaro
labbaik ababdillah
ay mere maula shahe karbala
bakshish ka shifa ka hai aap waseela
roze pe bulalo zawwar banado qismat ko jagado
ay shahe shaheedan aejaz dikhado, maula ab humko sada do
chale aao ay zawwaro chale aao
meri awaaz pe labbaik pukare jao
labbaik ya hussain
naam tum sab ke mere dil pe hai likhe aao
apne maa baap ko is paak safar may lao
apne bachon ko bhi ehrame aza pehnao
mere zawwaro meri karbobala aajao
ehd karta hoo azaadaro shifa-at ke liye
aao zawwaro chale aao ziyarat ke liye
chale aao….
khush raho ay meri rudaad sunane walon
apni khushiyon may mera sog manane walon
saare aalam may mera farsh bichaane walon
garmi sardi may meri qabr pe aane walon
mujhko maloom hai tum logon ki haajat aao
tum pe ho jaayegi allah ki inayat aao
chale aao….
jaanibe karbobala jab koyi badta hai qadam
har qadam par mere zawwar pe hota hai karam
saaya karta huwa abbas ka chalta hai alam
muntazir rehti hai zehra mere baba ki qasam
mere zawwaro mere dard ke maaro aao
meri maa fatema zehra ke dulaaro aao
chale aao….
tum jo kehte ho abad wallah ma ninsa hussain
amma zehra bhi yehi karti hai ro ro kar bain
meri mazloomi pe roye hai shahe badr o hunain
mere baba bhi hai ab tak mere gham may bechain
tum nahi bhoole to mai bhi nahi bhoola tumko
yaad chalte huwe khanjar may bhi rakhta aao
chale aao….
tum jo lehrate ho haathon may uthaaye parcham
tumko maloom hai ho jaata hai taaza mera gham
yaad aata hai mujhe khoon may dooba wo alam
jiske jhuk jaane se toota mere bachon pe sitam
mere abbas ki jageer sajaane aao
haazri roza e abbas pe khaane aao
chale aao….
mere zawwaro suno ye zameen karbobala
mujhse pehle to yahan koyi bhi bas na saka
ye zameen karbobala karb ka majmua hai
hazrate adam o hawa ka yahin girya hai
sher ne hazrate eesa ko yahin roka hai
aur phir taqte sulaiman yahin larza hai
is zameen par ibrahim ka rahwaar dhasaa
paa e moosa may lagi chot lahoo behne laga
zabihallah ke haivaan rahe pyase yahan
kashtiye nooh se takraya yahin par toofaan
is zameen par to pareshan huwa har insan
mere baba bhi yahan karte rahe aah o fughan
meri hijrat thi madine se hidayat ke liye
ye zameen maine kharidi thi shahadat ke liye
chale aao….
meri aawaaz pe labbaik pukaare jaawo
labbaik ya hussain
do moharram ko yahan mera rahwar ruka
saath kunba tha mera mai akela bhi na tha
aao zawwaro mere saath chalo
thaam kar dil mera maqtal dekho
ye maqame ali akbar hai jahan
mere bacche pe jahaan royi azan
ye maqame ali asghar hai jahan
aaj bhi baithi huwi roti hai maa
ye jagah wo hai mere zawwaro
laashe qaasim huwi pamaal idhar
do maqamaat jo aate hai nazar
kate abbas ke baazu thay idhar
hai zaraa door jo do dil ke qaraar
hai mere aun o mohamad ke mazaar
asre ashoor se turbat ke qareeh
mera hur aur mera lashkar hai yahi
aur ye tilla e zainabya hai
yahin zainab ne ye manzar dekha
mujhpe chalta huwa khanjar dekha
mera ashoor ya chehlum ho mera
karbala aata hai kunba mera
phir sakina jo yahan aati hai
meri turbat se lipat jaati hai
mai hoo hussain, abde khuda, khoone nabi
khoone ali, khoone hassan, zehra nasab,
shaahe arab, mai hoo ataa, mai hoo shifaa
ehle aza, roze jaza, denge tumhe, lutf o karam
baaghe iram, mai hoo hussain
tum pe salaame karbala maatami
tum pe salaame shohada maatami
tum pe salaame sayyeda maatami
tum pe salaame murtaza maatami
tum pe salaame mustafa maatami
tum pe salaame ba-wafa maatami
tum ho dile zainabe kubra ka chain
kehte raho kehte raho ya hussain
sayyadena sayyadena ya hussain
815 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot