ay mere bhai raza, mai saniye zainab hoo
tu saniye hussain, ay ghareebul ghurba
ay mere bhai raza, tujhpe humsheer fida
tujhse milne ke liye kitne meelo ka safar
teri zainab ne kiya
ay ghareebul ghurba….
mujhko pardes my ye baat rulati hi rahi
duur hoo ghar se magar sar pe rida hai bhai
binte zehra ne magar shaam o koofa ka safar
be rida kaise kiya
ay ghareebul ghurba….
tera deedar bina bhai nahi reh sakti
gham mai furqat ka teri aur nahi seh sakti
kya mujhe bhool gaye tumko behna se milay
ek baras beet gaya
ay ghareebul ghurba….
tumko zindan may kahi qaid na karle koi
mere baba ki tarha zeher na dede koi
jee nahi paungi mai sun ke mar jaungi mai
tumko gar kuch bhi hua
ay ghareebul ghurba….
baap ki tarha mere sar pe tera saaya hai
apni beti ki tarha tune mujhe paala hai
tu hai ay bhai jahan mujhko bulwale wahan
hoga ehsaan tera
ay ghareebul ghurba….
saath hum hotay agar shaam ko jaate bhai
phir sakina ke liye ashk bahate bhai
kya nahi tum ko khabar aagaya maahe safar
waarise karbobala
ay ghareebul ghurba….
maut se pehle mujhe milne baradar aaja
apni sughra ke liye ay mere akbar aaja
dil may hasrat hai mere dekhloo chehra tera
phir mujhe aaye khaza
ay ghareebul ghurba….
ay takallum ye behen bhai pe jaan deti thi
sunke bhai ki khabar khaak pe ye aise giri
lab pe tha haye raza dil pe kaabu na raha
kha gayi usko khaza
ay ghareebul ghurba….
1,123 Views