Ay Mere Hussain as-salam, Ay Mere Imam as-salam
bekaso ghareeb as-salam, shaahe tishnakam as-salam
alqama pe jab alam gira, goonji ye taraai may sada
al-madad ay shaahe karbala, kehta hai ghulam as-salam
ay mere hussain….
ek sitam ye aur ho gaya, qalbe akbare hazeen chida
akse mustufa ne di sada, ya shahe inaam as-salam
ay mere hussain….
kehti thi ye shaah ki behan, haye be-dayaro bewatan
berida hoo kaise doo kafan, jaa rahi hoo shaam as-salam
ay mere hussain….
ay habeeb ay hurre jari, auno akbaro mere aqi
yun hi saare dard may giri, mere nayk naam as-salam
ay mere hussain….
tum kahan ho paarae jigar, dhoondti hai tumko ye nazar
chin chuki rida jala hai ghar, mere la-laqaam as-salam
ay mere hussain….
maine ye kalaam jo likha, is ko nazre shaah kar diya
hai yahin pa mohsin ab mera, harfe iqtetaam as-salam
ay mere hussain….