Ay Karbala May Haq Ke Safeero Salam Lo

Ay Karbala May Haq Ke Safeero Salam Lo
ay bekaso yateemo aseero salam lo

ay haamiyane aal-e-payambar tumhay salam
ay nasirane bekaso muztar tumhay salam
ay karbala ke hamza-o-jafar tumhay salam
ay pasbane itrate hyder tumhay salam
ay karbala….

ghar bhar ke laadle ali akbar tumhay salam
ay fatima ke laal ke dilbar tumhay salam
barchi kagi hai kaisi jigar par tumhay salam
soona pada hai ab ye bhara ghar tumhay salam
ay karbala….

qasim ki haaye margay jawani tumhay salam
khoon may bhari hassan ki nishani tumhay salam
ay teen din ki tishnadahani tumhay salam
shahzade band hogaya pani tumhay salam
ay karbala….

shero ke sher saaniye hyder tumhay salam
kya thi majaal rokta lashkar tumhay salam
pani ko tumne maardi thokar tumhay salam
bas laut aaye mashq ko bhar kar tumhay salam
ay karbala….

ay fauje sheh ke nanhe sipahi tumhay salam
kya khoob thi tumhari ladaayi tumhay salam
aisi zuban labon pe phirayi tumhay salam
ulta ke rakh-di saari khudayi tumhay salam
ay karbala….

teero se chalni jisme mutahhar tumhay salam
baakhi nahi libaas badan par tumhay salam
pamaal laashay sipte payambar tumhay salam
naize pe vird karte hue sar tumhay salam
ay karbala….

dukh hai sakina tumne uthaye tumhay salam
baba bhi laut kar nahi aaye tumhay salam
ruqsaar par tamachay bhi khaaye tumhay salam
nazuk se kaan khoon may nahaye tumhay salam
ay karbala….

709 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot