us waqt jab ke zainab darbar may gayi thi
khaari namaziyon se mehfil saji hui thi
zaalim ye poochta tha ghazi tera kahan hai
balon se moo chupaye zainab ye keh rahi thi
ay mere baba jaan ho rahi hai azan sar chupaon kahan
majmaye aam may bewatan be-ama aagaya kaarwan
ay mere baba jaan….
mai bhi hoon marziya binte khairun nissa
mere lehje may hai baba teri aada
naam zainab mera tune jo rakh diya dede apni zubaan
ay mere baba jaan….
baba jaan mai rida maangti rehgayi
bamo-dar sajgaye jeete ji margayi
halqae shaam may naam sunkar mera margaya natawaan
ay mere baba jaan….
haath kaanon pe hai neel gaalon pe hai
aur nishaan jo sakina ke shano pe hai
har nishaan se yahi aa rahi hai sada baba jaan baba jaan
ay mere baba jaan….
shame ashoor se shaam o kufa talak
maine maanga nahi hai khiraaje fadak
meri chadar se hai meri maa ka sukaoon sunle zalim jahan
ay mere baba jaan….
baba jaan ye tera aakhri tha bayaan
teri chadar bachayega ghazi jawan
margaya bawafa chingayi hai rida kehti hai bibiyan
abbas abbas abbas
ruk na paaya mere bawafa ka wo sar
noke naiza se aane laga khaak par
behn ko darbadar dekh kar nange sar sehna paaya jawan
ay mere baba jaan….
kal thi ha aaj mai bhi hoon darbar may
misle zahra khadi hoon mai adhiyar may
us taraf hai shaqi is taraf rehgaye bepadar betiyan
ay mere baba jaan….
aisa khutba diya maine darbar may
likh raha hai jo yawar tere pyar may
lehjaye hydari har azan ke liye hai sada e azan
ay mere baba jaan….
1,883 Views