Allah Allah Kar Rahe
ajeeb shor hai ke shor may sukoon hai
ajab sukoon hai sukoon may junoon hai
ye wo junoon hai jo deen deen ka sukoon hai
ye kya ye kyun ye kaise hai ye sochna haram hai
kisi bashar ki baat kab khuda ka khud kalaam hai
fazkuruni az kurukum, vash kurooli wala takfurukun
quran may khud kehta hai khuda, wo mujhko kabhi jhutlaata nahi
aur mera shaakir rehta hai jo mera zaakir hota hai, mai uska zaakir banta hoo
allah allah kar rahe hai hussain, kar raha hai khuda hussain hussain
ya hussain, ya hussain
khauf ahle sitam pe hai kaari, zikre shabbir ab bhi hai jaari
jab khuda khud hai zaakir e sarwar, kaun rokega ye azadari
ishq ka tarnuma hussain hussain, kar raha hai khuda hussain hussain
ya hussain….
allah allah kar rahe..
kehdiya aaya e mawaddat ne, humse maanga hai kya risaalat ne
ab bhi akhlon pe hai paray parde, raaze quran na samjha ummat ne
ibne zehra hai ya hussain hussain, kar raha hai khuda hussain hussain
ya hussain….
allah allah kar rahe…
uski baatil namaz hojaye, shak jo zaate hussain may laaye
jo namaze khuda ko thukraye, tab wo matam kiye kaha jae
ay shahure waqa hussain hussain, kar raha hai khuda hussain hussain
ya hussain….
allah allah kar rahe….
kaise qaidi thay karbala walay, sheh ke maqsad ko saath leke chalay
kab wo ghaafil rahe hai sajdo se, qaid may bhi namaz padhte rahe
aur jaari raha hussain hussain, kar raha hai khuda hussain hussain
ya hussain….
allah allah kar rahe…
jab madine may aaye ahle haram, rozo shab tha hussain ka matam
ab bhi tareekh de rahi hai sada, ghar may sajjad ke khuda ki qasam
eid ke din hua hussain hussain, ya husain ya husain…..
sada ye ghaib se aati hai ibne zahra ki
ye kaisi bahes may uljhi hui hai qaum meri
namaz ka koi munkir hai majliso ka koi
takallum aur hai darvesh ki tamanna yehi
khudara jism ko tum jaan se juda na karo
namaz aur aza ka tum muqabla na karo
765 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot