Ay Bekafan Hussain Ghareebul Watan Hussain

Ay Bekafan Hussain Ghareebul Watan Hussain

ab bhi falak se aati hai awaaze fatima
ummat ne haaye tujh ko kafan bhi nahi diya
ay bekafan hussain….

aayi na kabhi laal tujhe dhoop may lekar
ab tapti zameen par hai tera laashaye besar
uryan badan hussain ghareebul watan hussain
ay bekafan hussain….

soti thi sada lakhte jigar tujhko sulaakar
chakki bhi jo peesi hai to godhi may litaakar
ay bekafan hussain….

ummat ne khoob ajre risalat ada kiya
pamaal teri laash baade khaza kiya
ay gulbadan hussain ghareebul watan hussain
ay bekafan hussain….

uff khabr may bhi chain mila mujhko na dilbar
ta hashr yuhin roti rahegi teri maadar
waqte muhan hussain ghareebul watan hussain
ay bekafan hussain….

masroor kaam aayega girya ye khabr may
ay kaash lab pe ho mere noha ye hashr may
tashnadahan hussain ghareebul watan hussain
ay bekafan hussain….

1,562 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot