Pyase Qaimo May Musalsal Hai Fugha’n Ay Dariya
tune ghazi ko chupaya hai kahan ay dariya
kitni hasrat se takay jaatay hai sheh ko abbas
jab se goonji ali akbar ki azan ay dariya
mashk par teer jo aaya to ye mehsoos hua
jaise seeney may utar aayi sina ay dariya
haath katne pay bhi abbas kay tayvar hai wohi
shah bach jayen chali jaye ye jaan ay dariya
janay kab say dar-e-qaima pa khaday hai bachay
sukhay honto pa rakhi khushk zaban ay dariya
nokay naiza se utaari gayi zainab ki rida
sogaya khaak pa jab sher-e-jawan ay dariya
tere saahil pa kabhi shah ke maqtal may kabhi
roti phirti hai musalsal koi maa ay dariya
haye juz sham-e-ghariban nahi koi shahid
rokay kehta hai ye qaimo ka dhuwan ay dariya
858 Views