Athara Baras Ke Ali Akbar Ka Janaza

Akbar Ka Janaza
athara baras ke ali akbar ka janaza

sheh laate hai hamshakle payambar ka janaza
athara baras ke….

ay kul ke madagaar madad karne ko aao
shabbir se uth-ta nahi akbar ka janaza
athara baras ke….

is darja sakina se tha sharminda alamdaar
sheh laa na sake apne biraadar ka janaza
athara baras ke….

pamaal hua dasht may ghodon ke sumon se
kis tarha uthay qasime muztar ka janaza
athara baras ke….

zainab zara bano ke kaleje ko sambhalo
shabbir ke haaton pa hai asghar ka janaza
athara baras ke….

1,750 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot