zinda rahe zinda rahe zinda rahe
ay azadar e hussaini ye chalan zinda rahe
ha azakhane sajane ki lagan zinda rahe
jab aza-khana sajay to dil banay farsh e aza
dhadkano may matame shaah e zaman zinda rahe
ay azadar e hussaini….
nauhakhan matam ke saaye may safar karte rahe
har bayaaz e gham khulay har anjuman zinda rahe
ay azadar e hussaini….
roz e ashoora juloos e gham ko kya raahat se kaam
yaad may pyase aseero ki thakan zinda rahe
ay azadar e hussaini….
ay azadaro chalo mashk o alam ke saaye may
ye tajammul ye hasham ye baakpan zinda rahe
ay azadar e hussaini….
jis jagah thi maut aasan zindagi dushwar thi
ha wahan zehra ke saare gul badan zinda rahe
ay azadar e hussaini….
sab aza-khane hamare sab hi apni majlise
ay dua e sayyeda ye apna-pan zinda rahe
ay azadar e hussaini….
chotay chotay se alam bacho ke hathon may rahe
dil may taboot e sakina ki chubhan zinda rahe
ay azadar e hussaini….
kar rahe hai ye dua zer e alam sarwar hilal
ay khuda ye gham ba faize panjetan zinda rahe
ay azadar e hussaini….
7,465 Views