Aun o Mohamed Mere
kehti thi zainab ay mere sheron kehti thi zainab mere dilayron
aun o mohamed mere aun o mohamed
khwab ye zainab ka tha, chand sitare mere, chand sitare
mamu pe honge fida godh ke paale mere, godh ke paale
khwab ye sacha huva, sar mera uncha raha
hone ko sheh par fida, laal mere, sher mere chand mere
aun o mohamed mere….
jaffar-e-tayyar ke khoon ke akkas ho, khoon ke akkas
husn may akbar ho tum josh may abbas ho, josh may abbas
jang ke maidan may maut ke arman may, saaya-e-quran may
aise utho aise badho maut pe tum toot pado
aun o mohamed mere….
haan meri takeed par dhyan tumhara rahe, dhyan tumhara
jaake labe nehr bhi pyas gawara rahe, pyas gawara
doodh na bakshungi mai, moo bhi na dekhungi mai
sher ki beti hoo mai, wada karo, aao chalo, chup na raho
aun o mohamed mere….
maana ke pyase ho tum, pyas pe qaboo rahe, pyas pe qaboo
sheh ke alamdar ki, saath may khushboo rahe, saath may khushboo
bas ye tamanna meri, laaj rahe khoon ki, hai ye wasiyat meri
khao qasam, jaho hasham, hoga na kam
aun o mohamed mere….
aun ye kehne laga, bhai mohamed, bhai mohamed
ek taraf mai badhoo, ek taraf tum badho, ek taraf tum
jang ho fauje sitam, jang kare aise hum
mamu hamay de alam, dekhe hume amma kahe jeete rahe
aun o mohamed mere….
dono jari jang ko surat-e-aandhi badhe, surat-e-aandhi
nana ali ki tarha, maut pe haavi rahe, maut pe haavi
milke jo hamla kiya, maymana-o-maysra
ek may dam hogaya, tayghe ali, aisi chali, dhoom machi
aun o mohamed mere….
dekh rahi thi jo maa qaime ke dar par khadi, qaime ke dar par
saath wahin thay khade hazrate abbas bhi, hazrate abbas
bhai behen shaad thay, saahib-e-aulaad thay
waaris-e-ajdad thay, kehne lage, khoob laday sher mere
aun o mohamed mere….
ladte kahan tak bhala pyas ke maare huve, pyas ke maare
jalti huvi khaak par dono tadapne lage, dono tadapne
bhai se kehne lagi, fakhr se binte ali
surkh roo zainab huvi, sar pe tere bhai mere, laal huve
aun o mohamed mere….
aun o mohamed na thay, wo dure nayaab thay, wo dure nayaab
sarwar o rehan wo wakif e aadab thay, wakif e aadab
hukm jo maa ne diya, rukh na kiya nehr ka
pyas ka sadma saha, maa ne kaha shukre khuda, huve fida
aun o mohamed mere….
1,737 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot