Ay Aun O Mohammed

kehti thi ye zainab yun maa ka maan nibhana
ay auno-mohamad ay auno-mohamad

shabbir ka tum sadqa ho ab qaime may beta
tum laut kar na aana ay auno-mohamad

hai maa ko yaqeen tum maa ki baat rakhoge
ye yaad rahe qaimo may hai pyase bache
darya pe agar jaana ho seh roz ke pyaso
tum pyas na bujhana ay auno-mohamad
ay auno….

har haal may tum par laazim hai shukr khuda ka
ay shehzado hai sabr tumhara virsa
farzand ho tum zainab ke shikwa nahi karna
jab zakhm koi khana ay auno-mohamad
ay auno….

kab humpe sitam karne ke liye aaye hai
yeh badro ohad ke badle ke liye aaye hai
laazim hai razaz se pehle maidan may tum par
madhe ali sunana ay auno-mohamad
ay auno….

jab saans tumhari bachon ho ukharne wali
us waqt sirhane aayengi madar meri
dil ki ye mere khwahish hai us dam meri maa se
zakhmon ko tum chupana  ay auno-mohamad
ay auno….

khaatil pe karam nana ki tarha kar dena
yun laaj mere bhai ke naam ki rakhna
jo waasta de bhai ka maidan pe us par
tum taygh na chalana  ay auno-mohamad
ay auno….

jab laashe uthaakar qaime may laaye sarwar
zainab ye boli askhon ko apne chupakar
mai bhi na tumhe ro-ungi aur mere liye bhi
aansu na tum bahana  ay auno-mohamad
ay auno….

taazeem ki khaatir kyun ut-thay nahi ab beta
dekho to sirhane aaye hai mere bhaiya
jaago mere shehzado kya bhoolgaye ho
qadmo pe sar jhukana ay auno-mohamad
ay auno….

shabash mere bachon hoo mai tumse raazi
yeh kehke takallum khamosh huvi shahzadi
naizo pe safar karke hamraah hamaare
tumko hai shaam jaana ay auno-mohamad
ay auno….

639 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot