kadiyal jawaan ki laash par kehta raha rokar padar
awaaz to de akbar
girta hua ut-ta hua aa to gaya hoo mai magar
gum hogaya noor-e-nazar
aawaz….
tu naujawan hai akbar aur zaeef baba
kaise uthaoon maiyath mujhko to batade itna
jaana hai ab khaiyaam tak kaise karoon mai ye safar
qam hogayi meri kamar
awaaz….
aayi sada jidhar se mai us taraf badoonga
awaaz sunte sunte tujhe un may dhoond hi loonga
tu hai jidhar pyare mere dheere se ye kehte hue
baba idhar baba idhar
awaaz….
sughra ke naamwar ko khat ka jawaab kya doon
wo muntazir hai usko barchi ka haal sunadoon
raste se ab nazre hata maara gaya bhai tera
kya bhejdoon usko khabar
awaaz….
teri sada ko sunkar wo phir se ji uthegi
hamsheer teri warna shayad nahi jee paayegi
seene ki barchi thaam ke sughra ko uske naam se
ek baar himmat jodh kar
awaaz….
barchi se bas kalaija tera nahi chida hai
maqtal may fatima ne dil apna thaam liya hai
bhai hassan nana nabi baba ali dadi teri
maujood hai sab bhi idhar
awaaz….
kaise bayaan karoon mai wo dard naak manzar
sajde may thay khudaayi rota tha saara lashkar
jab fatima ke laal ne haaton pe lekar khaak se
rakh kar kaha zaano pe sar
awaaz….
laashe ke dona jaanib baithi hai maayen dono
seene ke bosay lekar lete hai balaayn dono
zainab idhar laila idhar choome tera zaqmi jigar
inse to koi baat kar
awaaz….
akbar janabe akbar khamosh hogaye thay
shabbir sar jhukaye laashe ke paas khade thay
zainab kabhi laila kabhi behne kabhi kabhi naamwar
kehta raha ye saara ghar
awaaz….