Aa Ay Mere Hussain (A.S)

ashoor ka suraj hai qayamat ki ghadi hai
bhai ka gala kat-tha behan dekh rahi hai
makhtal may kisi maa ki sada goonj rahi hai
aa ay mere hussain mere godh may aaja
aaja mere bachche meri aaghosh may aaja

mere liye ay laal tu asghar ki tarha hai
godi meri gehwaara hai bistar ki tarha hai
is dhoop may daaman mera chadar ki tarha hai
aa ay mere …

mai maa hoon mera dil nahi senay may sambhalta
nazuk yeh badan tera yeh jalta hua sehra
aur is pe sitam yeh hai ke tu rehgaya pyaasa
aa ay mere …

mai godh may lelu tujhe seenay se lagaloon
seene pe sakina ki tarha tujh ko sulaloon
seene ke tere teer mai palko se nikaaloon
aa ay mere …

aakar mere zaanu pe jo sojaate thay beta
chakki ki mashakhat pe bhi pehlu nahi badla
ab kaise tujhe chod doo makhtal may akela
aa ay mere …

teri bhi to aulaad hai tu bhi to padar hai
aulaad ka gham kya hai yeh tujh ko bhi khabar hai
gham bachche ka sehjaye yeh kis maa ka jigar hai
aa ay mere …

tu layt-gaya thak kay to is jalti zameen par
yeh kiska lahoo tune mala rooye-haseen par
mat khaakh pe so laal teri maa hai yahi par
aa ay mere …

jo dil pe tere guzri mai sab dekh rahi thi
har laash uthaane mai tere saath gayi thi
ab baat woh kehti hoon jo bachpan may kahi thi
aa ay mere …

nauhe may bayaan kaise kare sarwar-o-rehaan
pad sakta nahi koi bhi yeh dard ka quraan
maa kehti thi rehjaaye na dil may mere armaan
aa ay mere …

6,418 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot