Ro rahi hai soch kar ummul baneen ye aaj bhi
asghar e baysheer jaisi qabr hai abbas ki
rashk karti thi mai aqse hyder e karrar par
paon khat dete thay uske baith kar rahwaar par
haye mere sher ki ye kaisi haalat ho gayi
asghar e baysheer jaisi…
marke bhi usne nibhaya mujhse jo wada kiya
apne bete ki wafa par faqr hai mujhko bada
ab nahi asghar ki maa se kuch mujhe sharmindagi
asghar e baysheer jaisi…
baap ke badle musalmano ne bete se liye
sar juda hai tan juda baazu juda hai sher ke
aap ki tasveer tukde hogayi hai ya ali
asghar e baysheer jaisi…
kaun lad sakta tha us se kis may tha itna jigar
sunti hoo nau laakh ne maara hai usko ghayr kar
laash bhi uski salamat dasht may rehne na di
asghar e baysheer jaisi…
kya qad o qaamat thi uski ye usay maloom tha
ek ghatri may simat kar kaise qasim aagaya
umme farwa jaanti hai kya hai meri bekasi
asghar e baysheer jaisi…
kab samaata tha meri chadar may tu ay mere laal
kardiya hai zaalimo ne ye tere laashe ka haal
hai mere sar ki rida bhi teri turbat se badi
asghar e baysheer jaisi…
kehke ya abbas karta hai wo ashkon se wuzoo
darti hoo jaari na ho phir uski aankhon se lahoo
saamne abid ke yun kehti nahi hoo mai kabhi
asghar e baysheer jaisi…
roke karti hai salaam unko takallum karbala
fatema zehra se maa bete ne ki aise wafa
maadare abbas ki turbat bhi hai tooti hui
asghar e baysheer jaisi…