Asghar Ka Janaza
ay momino jab khoon may dooba hua aaya
asghar ka janaza, asghar ka janaza
shabbir ne ek maa se usay kaise chupaya
asghar ka janaza, asghar ka janaza
haanton pe janaza ali asghar ka uthakar
rukh su-e-falak karke sada dete thay sarwar
allah yahi hadya-e-aakhir hai hamara
asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may….
chehre pe mere khoon hai mere ghunchadahan ka
murjhaya hai ye phool mohammed ke chaman ka
ay nana tere deen pe karta hoo mai sadka
asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may….
sangdil thay la-een bache pe kuch rehm na khayaa
pani ke talab karne pe khoon uska bahaaya
islam ko ab hashr talak kargaya zinda
asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may….
jab raat ko maa apne tasavvur ko jagati
awaaz use jhoole ki nowha ye sunaati
kya bhool gayi haaton pe sarwar ke jo dekha
asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may….
maa kehti ae godh ke paalay ali asghar
thi aarzoo dekhungi mai sehra tere sar par
kyon waqt ne mujh kokh-jali ko hai dikhaya
asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may….
yaad aagaya zindaan may jo bhaiyya ka humakna
sajjad se tab kehne lagi bali sakina
kya khaake taras dhoop se logo ne uthaaya
asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may….
rehaan sheh-e-deen ne har ek laash uthaai
akbar sa jawaan unmay tha abbas sa bhai
bete se yadullah ke magar uth nahi paaya
asghar ka janaza, asghar ka janaza
ay momino jab khoon may….
2,232 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot