Akbar Ne Kaha Rokar

shabihe imame zaman khenchte hai
tasavvur may tasveere jaan khenchte hai
kaha roke akbar ne ay dard tham ja
ke seene se baba sina khenchte hai

akbar ne kaha rokar ay dard zara tham ja
baba mere seene se sina khench rahe hai
ay behte lahoo ruk ja hai wasta sughra ka
baba mere seene….
akbar ne kaha….

patti mere baba ne ankhon pe nahi baandhi
di hai khuley haaton se ran may meri qurbani
ay dada khaleel aao hai waqt qayamat ka
baba mere seene….
akbar ne kaha….

yasrab ki taraf aankhein har dam meri rehti hai
ab waqt bohat kam hai saansein bhi ulajti hai
qasid meri sughra ke jaldi se zara aaja
baba mere seene….
akbar ne kaha….

akbar ki guzarish hai lillaah na rad karna
jab aap ka shewa hai dunya ki madad karna
baba ki madad karne aajaiye ay dada
baba mere seene….
akbar ne kaha….

dekha nahi jayega aankhon se kabhi meri
tadpunga agar may to takleef unhe hogi
ulfat ka taqaza hai larzy na badan mera
baba mere seene….
akbar ne kaha….

arman jo dil may hai dil may hi na dafna de
aisa na ho zainab ko jakar koi batlade
pyari phupi amma se bardaasht na ye hoga
baba mere seene….
akbar ne kaha….

marne ka nahi hai gham gham hai to bas itna hai
darwze pe muddat se baithi huwi sughra hai
sunkar ye khabar shayad mar jayegi wo dukhiya
baba mere seene….
akbar ne kaha….

kehta tha takallum wo himmat jo meri hoti
khud apne hi haathon se mai khenchta ye barchi
takleef nahi apni hai dard mujhe iska
baba mere seene….
akbar ne kaha….

1,369 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot