Acha Hua Sughra Tu Mere Saath Nahi Thi

jab ahle haram aaye madine may palay kar
sughra se kaha saniye zehra ne lipat kar

acha hua sughra tu mere saath nahi thi
zainab ka tha noha hum lut gaye sughra
acha hua sughra….

is baat pe karti hoo ada shukr ka sajda
hum may se kisi ka to salamat raha parda
kis tarha bataun tujhe dil phat ta hai mera
sadaat ki ghairat ka taqaza nahi sughra
bas itna hi kehti hoo rida jab ke chini thi
acha hua sughra….

tu poochti hai surkh hai kyun aap ki chadar
aa tujhko bataun mere mazloom ki dukhktar
jab qaime may sheh laaye laashe ali akbar
mai aise giri laash ke pehlu may tadap kar
akbar ke lahoo se ye rida surkh hui thi
acha hua sughra….

kis tarha rahi hogi tu is ghar may akeli
ehsaas mujhe hai tere is dard ka beti
lekin tu zaeefa hui furqat may padar ki
tujhko to khabar sirf shahadat ki hai pahunchi
mai sheh ka gala kat-te hue dekh rahi thi
acha hua sughra….

kya bughz hai baba se musalmano ko jaane
phir aaye thay ghar fathema zehra ka jalane
sab aake khade hogaye bekas ke sarhane
us waqt sitamgaron se abid ko bachane
beti phupi amma teri sholo pe chali thi
acha hua sughra….

tanhai may le jaake kabhi poochna maa se
kis tarha se guzri teri maa behne wahan se
baatein jahan sab karte hai pathar ki zuban se
shab ko bhi guzarna bada mushkil hai jahan se
be-parda din may wahan har ek bibi khadi thi
acha hua sughra….

nana ka madina hai nahi khauf kisi ka
dil khol ke ro kaun tujhe maarega durra
lekin kabhi baba pe jo roti thi sakina
sayli kabhi durra kabhi khati thi tamacha
rone pe bhi masoom ke pabandi lagi thi
acha hua sughra….

ay mir takallum wo qayamat thi qayamat
zainab ne sunayi jo sakina ki shahadat
sadaat pe sughra tha ajab aalam e ghurbat
zindan ke andhere may banayi gayi turbat
dam tod ti bachi ne bhi ye baat kahi thi
acha hua sughra….

1,835 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot