Ajeeb Hai Dastane Gham
ajeeb hai dastane gham ajeeb hai
nabi ki itrat pe ye sitam ajeeb hai

bhoolne wali baat nahi thi
ghar ghar iska charcha tha
ye to kal ki baat thi khud apni
aankhon se dekha tha
maulai ka kaad nabi qum may isko ata kiya
ajeeb hai….

ek hi noor ke do tukde hai
ek mohamed ek ali
dono hai mehboobe elahi
dono ko meraj hui
ek ko haq ne kardiya zaahir ek parde may chupa diya
ajeeb hai….

zindabad ay jazbae matam
mehnat ab rang laayi hai
chauda sau saala nafrat
ab khul kar saamne aayi hai
aaj yazeediyat ne parda rukh se apne hata diya
ajeeb hai….

tehr nahi sakte thay baghair
izn farishtay jis dar par
naqshe nishane paaye mohamed
saqt thay jiski chaukat par
waaey musalmano ho tum par tumne wo dar jala diya
ajeeb hai….

haaton may hai shimr ke khanjar
zanu ke neeche hai hussain
qaime ke dar par karti hai
zainab sar khole hue bain
baba ab tum kab aaoge bhai ka kat-ta hai gala
ajeeb hai….

sar ko tan se juda kiya
sar chada-diya phir naize par
laashon par ghode daudaye
bujhi na dil ki aag magar
kalmagoro ne khud apne nabi ke ghar ko jala diya
ajeeb hai….

aise may ek bachi nikli
qaimo se ghabrayi hui
khoon tapakta tha kano se
rukh pe yateemi chayi hui
kaamp rahi thi khauf se wo aur shimr tamache maarta tha
ajeeb hai….

daman may thi aag lagi aur
suye najaf tha rukh uska
roti thi chil-lati thi
geh deti thi baba ko sada
rooth gaye kyon aap sakina se baba kya ki thi khata
ajeeb hai….

bain sakina ke sun sun kar
thar-rati thi laashe hussain
saahil par ek laasha
uth uth padta tha hokar bechain
aati thi reh reh ke jab sada aajao aajao chacha
ajeeb hai….
1,892 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot