akbar nahi aaye asghar nahi aaye
din beet gaya ab raat hui dilbar nahi aaye
hum name ali hum shakle nabi
jurrat thi siwa ghairat thi badi
lekin jab mushkil aayi ghadi
maa deti rahi ro ro ke sada
akbar nahi aaye….
kehti thi ye bano ro ro
lilaah bulado asghar ko
kya jaan ye kis aalam may ho
ran ko gaye baap ke haaton par
phir ghar nahi aaye
akbar nahi aaye….
kya guzri laal mere tum par
kuch to bolo jaane maadar
kya baat hui ran may sarwar
lekar to gaye thay haaton par
lekar nahi aaye
akbar nahi aaye….
tum par to hai sab haal ayaan
pani tha kahan jo deti maa
itni si baat pe jaan di jaan
ghar se gaye aise hoke khafa
mud kar nahi aaye
akbar nahi aaye….
aajao ay asghar aao
maadar par laal taras khao
ek baar galay se lag jao
mumkin hai laut ke phir dilbar
maadar nahi aaye
akbar nahi aaye….
zakhmi hai gala majboor ho tum
beta zakhmo se choor ho tum
ab mai samjhi kyon door ho tum
maidan gayi ay lakhte jigar
kyon kar nahi aaye
akbar nahi aaye….
2,278 Views