tareeq ke kirdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro kis baat may tum kam ho
darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho
tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho
tum mazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho
tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho
ay gham ke lamdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro
rasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho
mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho
insaan ki azmat ke har baab may shaamil ho
zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho
matam ke talabgaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
nisbat hai payambar se nisbat tumhay hyder se
is nisbat-e-maula se tum door rahe shar se
tum aankh milate ho har waqt sitamgar se
jo dars mila tumko salman avuzar se
tum roop wohi dharo kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
abbas ke parcham se seekhi hai wafadari
aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari
kismat se mili tumko mazloom ki ghamkhari
zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari
mazloom ke gham khaaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
zainab ki rida tumse karti hai sawaal aisa
kis gham may bahaate ho aankon se lahoo apna
kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha
jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda
laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
kya dars liya tumne akbar ki jawani se
kya seekha batao to karbal ki kahani se
mat behlo qateebo ke alfaaz-o-mawani se
mehfooz haqeeqat ko rakhna hai kahani se
ay ilm ke mayyaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi
tum hur ki tarha maango ek raat may azaadi
darbar may zaalim ke kyon bante ho faryadi
sajjad ne jis tarha deeware sitam ghaadi
deeware sitam ghaado kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
tum nahj-e-lbalagha ki tafseer may dhal jao
hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao
mazloom ko mat chedo zaalim se na ghabrao
haq baat jo kehna hai suli pe bhi dohrao
allah ke naqqaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
shabbir ke matam may imaan ki hararat hai
ye ayne ibadat hai ye ayne shariyyat hai
shabbir ke paykar may islam ki nusrat hai
khanjar ke talay dekho khayim jo ibadat hai
maula ke tarafdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
socho to zaro manzar tum shaam-e-ghareeban ka
ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka
pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka
kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka
samjho to samajhdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
pyasa tha labay darya wo lakhte dil-e-zehra
aankhon se barasta tha ghurbat may lahoo jiska
wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha
haaton pe tadapta tha pani ka na khatra
us waqt ke jaabaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti
shabbir ki nusrat ki dil may jo tamanna thi
kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki
awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi
jalte hue angaaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
tum raahay sadaqat se imaan ki hararat se
kirdaare imamat se afkaare risaalat se
tum shaukhe shahadat se maula ki inayat se
islam ki qidmat se mayyaare mohabbat se
tareekh nayi likhdo kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
imaan hai azadaari hai deen ki bedaari
jarraari-o-karraari hai azme wafadari
himmat na agar haari zinda rahi khuddari
miljayegi sardari hyder ki tarafdari
karke to zara dekho kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
rehaan pe sarwar pe maula ki inayat hai
nowhe ki azaano may matam ki ekhamat hai
sach poocho ko dono ki har saans ibadat hai
ae ehle aza tumko matam ki jo daawat hai
moo mod ke mat jaao kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….