jab sham ke zindan may huvi shaam haram ko
ek aan na raahat ki na aaram haram ko
har baar tapakta tha lahoo ashke rawan se
zindan larazta tha sakina ki fughan se
allah jaane kahan ho ay baba
kitni raatein guzar gayi baba
allah jaane kahan….
chote se sin may qaidi e zindan hogayi
baba mai kyun na aap pe qurban hogayi
allah jaane kahan….
dil may jo mere dard hai khaaliq ke hai ayan
kisko kahoo mai baap mera baap hai kahan
tum bekafan mai be-saro saman hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….
kya kya na khalq kalme haqarat ke kehgayi
mai bekasi se dekh ke moo sab ka rehgayi
kurta phata huwa meri pehchan hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….
gar aah ki to shimr pukara khamosh ho
aur chup huwi to be-padari ne kaha ke ro
in aafaton may ghirke pareshan hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….
be-jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaaye
jo chahe mujh falaak ki satayi ko phir sataye
shehzadi e hussain ki ye shaan hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….
sadqe gayi batao kahan hai mere padar
aaye padar to jaye sakina bhi apne ghar
kyun aise zaalimo ki mai mehman hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….
pothi hoo uski jo ke hai kaunain ka ameer
jisne hazaro qaid se churwaye diye aseer
ummat nabi ki dekh ke anjaan hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….
jab sar pe shaah-e-deen ke sakina ne ki nazar
chillayi roke haye ghazab mar gaye padar
baba ke sar ko dekh ke hairan hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….
moo rakh ke moo pe shaah ko royi jo dil fighar
sadma huwa nikalne lagi tan se jaan-e-zaar
nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….
bas ay anees bazm may hai girya o buka
sadiyon talak rulayega sab ko ye marsiya
bali sakina qarb ka unwan hogayi
baba mai kyun na….
allah jaane kahan….