Achay Mere Baba Na Sakina

haye kya aalam e tanhai hai
aab aakhri ruqsat ko chalay sayyede wala
kohram tha dil hotay thay gham se taho bala
shabbir ne godhi se sakina ko utara
ghazi ko kabhi akbar o qasim ko pukara
baba ko qasam de ke bulaati thi sakina
sar peet-ti peeche chali jaati thi sakina

achay mere baba haye kya aalam e tanhai hai
achay mere baba na sakina se chupana
kahin bhool na jana
dil rota hai kyun pehna hai malboos purana
kahin bhool na jana

is tarha safar par koi jaata nahi dekha
pehne tumhe aisa kabhi kurta nahi dekha
mai jaan gayi aaj hai maqtal may thikana
kahin bhool na jana
achay mere baba….

sheh bolay mai qurban meri jaan sakina
ek wada hai jo aaj nibhana hai sakina
qaimo se nikal kar na hamay dhoondne aana
kahin bhool na jana
achay mere baba….

kal raat se bechain thay mai dekh rahi thi
mai seene pe layti thi magar soyi kahan thi
ab samjhi tumhay hum se bohat door hai jaana
kahin bhool na jana
achay mere baba….

aata hai nazar haal ghareebi ka tumhari
lagta hai ye samaan yateemi ka hamari
baba hamay jeene nahi dega ye zamana
kahin bhool na jana
achay mere baba….

akbar kabhi asghar kabhi qasim ne rulaaya
jo ran ko gaya aaj palat kar nahi aaya
bhooli nahi ab tak mai chacha jaan ka jaana
kahin bhool na jana
achay mere baba….

pehlu se shahe deen ke na hat-ti thi sakina
daaman kabhi qadmo se lipat-ti thi sakina
tadpata hai ye aap ka daaman ko chudana
kahin bhool na jana
achay mere baba….

ay sarwar o rehan ye kehne lagay sarwar
hum bhi wahin jaate hai jahan sotay hai asghar
beti phuphi amma ko na ro ro ke rulaana
kahin bhool na jana
achay mere baba….

1,360 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot