Abbas tera haq hai zamana tujhe roye
jab sham o sahar fatema zahra tujhe roye
durra liye pehre pe sitamgaar khada hai
kaise tere laashe pe sakina tujhe roye
abbas tera haq…
jis waqt uthaya na gaya laasha jawan ka
sheh us ghadi akbar se zyada tujhe roye
abbas tera haq…
zainab ne kaha sham e ghariban may ay ghazi
be-parda mujhe dekh ke baba tujhe roye
abbas tera haq…
sajde ke liye jab liya haathon ka sahara
to sajjad musalle pe hamesha tujhe roye
abbas tera haq…
bin haath ke kis tarha tu ghode se gira tha
ye sunke bahot ahle madina tujhe roye
abbas tera haq…
mashkeeza kahin jism kahin haath kahin hai
jaa jaa ke kahan fatema zahra tujhe roye
abbas tera haq…
armaan sakina ka tha jitna tujhe roti
sajjad teri qabr pe utna tujhe roye
abbas tera haq…
hashim ke qamar kyun na tera chahne waala
wa shams ka padte huwe soora tujhe roye
abbas tera haq…
hasrat hai ke ghazi ho lahoo aankh se jaari
ye mir takallum kabhi aisa tujhe roye
abbas tera haq…