Abbas Kahan Ho

Bazaar may binte ali deti thi sada bhai
abbas kahan ho
sar par bhi nahi chadar laakhon hai tamashayi
abbas kahan ho
abbas abbas….

is aalam e ghurbat may koi bhi nahi mera
hai khaak e safar sar par aur raat rasan basta
pardes may zainab ko taqdeer kahan laayi
abbas kahan ho
abbas abbas….

paywast hai naize may sar shaahe shaheedan ka
ye dekh ke ay ghazi phat-ta hai mera seena
marjayegi is gham may shabbir ki maajayi
abbas kahan ho
abbas abbas….

darya ke kanare tum aada se gaye ladne
sab dekh rahi thi mai darwazaye qaima se
ab jung hamari bhi dekho to zara bhai
abbas kahan ho
abbas abbas….

dunya ka sahara hai baba jo hamara hai
mushkil may magar maine tumko hi pukaara hai
ab dhoondti hai tumko bhaiya meri beenayi
abbas kahan ho
abbas abbas….

be-monis o yawar hai batlao kidhar jaaye
is tarha to jeene se behtar hai ke mar jaye
faryaad kare kis se hoti nahi sunwaayi
abbas kahan ho
abbas abbas….

ay mere jari meri imdad ko aajao
maanga hai kaneezi may zaalim ne sakina ko
hai waqt qayamat ka masoom hai ghabrayi
abbas kahan ho
abbas abbas….

ahmed ki nawasi ka yasir yehi noha tha
na bhai bache mere na koi bacha beta
ab jeeke karoongi kya gar maut nahi aayi
abbas kahan ho
abbas abbas….

2,355 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot