Aaj Bhi Gaithi Ke Seenay Par Uska Alam Lehraye Toh
Koyi Magar Shabbir Ki Tarha Ghar Apna Lutaye Toh
Kaun Phir Bay Maqna O Chadar Kis Kis Nay Bazu Bandhwaye
Kis Nay Bachaya Deenay Mohammad Koyi Zara Samjhaye Toh
Hai Koyi Aisa Aur Mujahid Jo Ke Bhuladay Pyaas Apni
Behtay Huway Jab Neher Ke Paani Par Qabza Ho Jaye Toh
Pyaas Ki Shiddat Zaeef Ka Aalam Zakhmi Jigar Aur Zakhmi Dil
Laashay Pisar Maqtal Se Logo Baap Koyi Yoon Laaye Toh
Ma Nay Kaha Aye Hasliyon Waalay Kaisay Raza Doon Maaqtal Ki
Soonay Jangal May Aye Beta Tum Tanha Ghabraye Toh
Khutba E Zainab Ghar Ghar Pohncha Haq Ki Yoon Tablegh Huwi
Qaidi Bana Kar Shaam May Dushman Laal Nabi Ko Laaye Toh
Kyun Na Zaki Shabbir Ke Gham May Royein Jinn O Malaa’ik Bhi
Chashm Se Har Tapka Huwa Ansoo Jab Gohar Ban Jaye Toh