Aalam Nehaan Hai Zaatay Risalat Ma’aab

Aalam Nehaan Hai Zaatay Risalat Ma’aab Mein
Kitnay Hain Aftaab Iss Aik Aftaab Mein

Kholoon Zaban Kaisay Ali Ki Janaab Mein
Aik Sheheray Ilm Hai Jo Dar Aaya Hai Baab Mein

Saf Basta Kainaat Hai Meri Janaab Mein
Mehway Sana Hoon Bargahay Bu Turab Mein

Munkir Nakeer Kar Na Sakay Phir Koyi Sawal
Naaday Ali Jo Meine Sunaayi Jawab Mein

Lelay Na Jaan Hasratay Deedar Ya Imam
Bas Ab Na Aazmaayi Ye Rehkar Hijab Mein

Naamay Khuda Ali Hai Toh Ismay Imam Bhi
Dono Mazay Hain Bandagi E Bu Turab Mein

Rakhta Hai Kadd Jo Dil Mein Ali Se Usse Kabhi
Jannat Naseeb Ho Nahi Sakti Hai Khwaab Mein

Karti Jo Baabay Ilm Se Ummat Husoolay Ilm
Yoon Thokarein Na Khaati Rahay Intekhaab Mein

Dushman Wasiye Ahmad E Mursal Ka Ba Khuda
Yaan Tha Azaabay Jaan Wahan Hai Azaab Mein

Khaaya Kisi Se Aur Na Lagaya Kisi Ko Zakhm
Aisay Bhi Thay Janab Nabi Ki Janab Mein

Qeemat Lagi Jo Ashkay Aza E Husain Ki
Jannat Tamam Hogayi Mere Hisaab Mein

Akbar Ne Barchi Khaayi Hai Ayn E Shabab Mein
Aisa Gehen Laga Na Kabhi Aftaab Mein

Parday Toh Daaltay Rahay Har Daur Ke Yazeed
Lekin Chupa Na Zulm Ka Chehra Naqab Mein

Sad Marhaba Tumhari Zaeefi Ko Aye Habeeb
Kya Koyi Yoon Jihad Karega Shabab Mein

Jiska Hadaf Tha Asghar E Masoom Ka Gala
Jaa Kar Laga Hai Teer Woh Qalbay Rubab Mein

Sughra Watan Mein Kehti Theen Baba Ki Khayr Ho
Daadi Ko Sar Khulay Huway Dekha Hai Khwaab Mein

Baali Sakina Kehti Thi Paani Mein Kya Piyoon
Surat Nazar Jo Aati Hai Asghar Ki Aab Mein

Taa Hashr Aye Saleem Jo Hasti Karay Wafa
Likhta Rahoon Mein Saqi E Kausar Ke Baab Mein

621 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot