ruk jao ay sakina….
tumse bichar ke maa mushkil bahot hai jeena
maa ko bhi saath lelo rukh jao ay sakina
har simt hai andhera har raah pur qatar hai
dushman hai chaar jaanib dil may chupaye keena
ruk jao ay sakina….
kha kha ke tum tamache ghabra gayi ho shayad
aa shaam seekh jao bhi aansuon ko peena
ruk jao ay sakina….
aajao mai suladun sar zaanuon pe rakh kar
zakhmi bahot hai bibi tere pidar ka seena
ruk jaao ay sakina….
ammu ko jaane maadar is tarha mat sada do
abbas ki jabeen par aajayega pasina
ruk jaao ay sakina….
rukh par lahoo jama hai kano se khoon hai jaari
betaab tadap uthega jaane shahe madina
ruk jaao ay sakina….
hai qaide shaam ki ab tanhaiyan muqaddar
bibi naseeb may ab tere nahi madina
ruk jaao ay sakina….
ye bekasi ye ghurbat ye dasht naynawa ka
dooba kahan hai aakar taqdeer ka safeena
ruk jaao ay sakina….