Aa Dekh Mere Ghazi

Aa Dekh Mere Ghazi, Uncha Hai alam tera
dil sine me jab tak hai bhulega na gham tera

zainab ki duwa bankar, ek waqt wo aayenga
har ghar me saja hoga, abbas alam tera
dil sine me jab tak hai, bhulega na gham tera
aa dekh mere……….

aajati hai zehra bhi, zainab bhi ziyarat ko
jab aat moharam ko, ut-tha hai alam tera
dil sine me jab tak hai bhulega na gham tera
aa dekh mere……….

taboot jab ut-tha hai, shabbir ka ay gazi
taboot ke aagay bhi, chalta hai alam tera
dil sine me jab tak hai bhulega na gham tera
aa dekh mere……….

wo kaun se sadme thay, sheh toot gaye jis se
ek dard tha zainab ka, aur doosra gham tera
dil sine me jab tak hai bhulega na gham tera
aa dekh mere……….

parcham ka pharera tha, ya aas thi zainab ki
zainab ke kaleje se, gham kaise ho kam tera
dil sine me jab tak hai bhulega na gham tera
aa dekh mere……….

bazaar may zindan may, darbaar may har lamha
zainab ki to sanson pay, tha naam rakam tera
dil sine me jab tak hai bhulega na gham tera
aa dekh mere……….

jab beh gaya sab paani, tab aas teri tooti
tha sine ke andar ya, mashkizay may dam tera
dil sine me jab tak hai bhulega na gham tera
aa dekh mere……….

awaaz teri sarwar shabeer se wabasta
abbas se wabasta rehaan qalam tera
dil sine me jab tak hai bhulega na gham tera
aa dekh mere……….

12,321 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot