aabaad hui karbobala ujda madina barbad hui mai
zainab ko raas aaya moharam ka mahina barbad hui mai
ek din tha ke is shehr ki mai karti thi shaahi, aur aaj tabahi
beghusl pada mohray nabuwat ka nagina, barbad hui mai
aabaad hui karbobala….
kis laash pay ro-un kise chorun mai biradar, laashay hai bahattar
hadh ye hai kay ronay ki ijazat bhi mili na, barbad hui mai
aabaad hui karbobala….
ashgar ka gala bhai ka sar seenae akbar, sab gauharo chadar
is dasht may loota gaya zainab ka khazeena, barbad hui mai
aabaad hui karbobala….
maaye bhi na pehchaan saki bachon ke chehray, bikhray hue sehray
hai khoon ki dariya may gharibon ka safina, barbad hui mai
aabaad hui karbobala….
ek aag hai qaimo may qayamat ka sama hai, ghaazi tu kahan hai
dekho to rida cheen liya shimr kameena, barbad hui mai
aabaad hui karbobala….
chaadar chinay durray lagay ab zulm na dhaao, baba se milaao
naizay ke talay baith ke roti hai sakina, barbad hui mai
aabaad hui karbobala….
shaukath saray makhtal ye kaha binte ali ne, zahra ki pali ne
bhaiya tere bin khaakh teri behna ka jeena, barbad hui mai
aabaad hui karbobala….