zindan zindan na bhoolenge hum sham ka zindan
nadan nadan zindan may ek margayi nadan
zindan..
wo sham ke zindan may sakina ka tadapna
tareeki se ghabrake wo bachi ka bilakna
jab yaad kiya ashko ka jari hua toofan
zindan….
kehti thi sakina mere baba ko bulado
rab ke liye amma ali akbar ko bulado
kyon aate nahi lene mujhe mere chacha jaan
zindan….
jab baap ka sar beti ne zindan may paya
liptaya kaleje se sab ehwal sunaya
ummat ne kiya nana ki kis darja pareshan
zindan….
nagaah sakina pa chali zulm ki talwaar
zindan may namudar hua shimr-e-sitamgaar
aur cheena sakina se sar-e-sarware zeeshan
zindan….
sar peet yun kehne lagi maadare muztar
haye haye meri bachi mere sar par nahi chadar
kis tarha se dukhiya mai karoon kafn ka saaman
zindan….
majlis may sakina ke liye shoro fughaan hai
abbas dua maanglo ye waqt-e-dua hai
jo dil may tumhare ho wo sab poore ho armaan
zindan….