Zainab Tera Zakhmi Baba Ghar Loat Ke Ayaa Hai

Hayee Ali,Hayee Ali, Hayee Ali, Hayee Ali

Fajar unisween ramzan ki tarpati hai
Fatima zehra ki jis waqt sadaa ati hai

Aa dekh le Zainab,tera zakhmi Baba,ghar loat ke ayaa hai

  1. Kandho pe uthai,yun bete hain laaye,lagta hai janaza hai
    Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
  2. Mushkil se safar yeh te hai Kiya,jaari hai lahoo ka darya
    Masjid se ghar tak,har ik qadam per,beton ne sambhala hai

  3. Halat hee ajab hai baba ki pehchanna mushkil hoga
    Zehra ki garibi,yaad aye gi Bibi,tar khoon mai chehra hai

  4. Jirah se hujre ke bahir jab haal hassan ne pucha
    Wo ro ke pukara,mushkil hua jeena,yeh zakham hee aesa hai

  5. Ab sham e gariban mai tum ko,yeh chehra nazar ayega
    Ae sani e zehra,kuch roz ka mehman,ab ap ka baba hai

  6. Yeh shana hila ker kehti hain Abbas jari ki madar
    Bibi uth jao,ashkon ko chupao,Baba ne bulaya hai

  7. Qadmon mai gir ke zainab ke,ghazi ki behan yeh boli
    Baba ko bachalo,sadqe mujhe kardo,hazir yeh ruqaiyya hai

  8. Ik Roz akaile aana hai,is shehar mai tujh ko Bibi
    Kiya hoga najane,shehzadi abhi se,badla hua kufa hai

  9. Shabbar ka jigar, Shabbir ka sar, Abbas jari ka bazoo
    Katte dekhogi,ae baba ki piyari,yeh zakhm to pehla hai

  10. Yeh keh ke taqallum beti se,khamosh hui the maula
    Darbar ke dar per,mai aoga milne,zainab mera waada hai
    Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
714 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot