Ye Qaid May Ali Akbar Ki Maa Ka Naala Hai
Nahi Wo Chand Jo Ghar Ka Mere Ujaala Hai
Mere Jawan Ko Naizo Se Maar Dala Hai
Kaleja Tod Ke Barchi Ka Phal Nikala Hai
Ghazab Hai Laash Ko Ghodon Se Raundh Dala Hai
Batao Logon Ke Dhoondne Kidhar Jaun
Mai Apne Akbar Mehroo Ko Kis Tarha Paun
Milay To Apne Kaleje Se Usko Liptaun
Mar Gaya Hai Ye Kis Tarha Dil Ko Samjhaun
Aray Kahan Mera Athara Saal Wala Hai
Khuda Ke Waaste Ab Ran Se Aao Ay Akbar
Layeen Satate Hai Aakar Bachao Ay Akbar
Khule Saron Pe Ridayein Udhao Ay Akbar
Phupi Ke Haal Pe Ab Rehm Khao Ay Akbar
Tadap Ke Kehti Thi Kin Kin Dukhon Se Paala Hai
Batao Sabr Kare Kis Tarha Se Ye Madar
Shabihe Ahmed E Mukhtar Thay Tum Ay Dilbar
Tumhare Gham May Mere Dil Pe Chalte Hai Khanjar
Tumhare Baad Jahan Se Gaye Ali Asghar
Malaal Dugna Hai Dil Ko Khalaq Dubaala Hai