aale nabi ka khaafila jab shaam ko chala
kehne lagi hussain se hamsheer alwida
aane lagi ek laashaye besar se ye sada
ye khaafila leja zainab khaafila leja
maine basaayi karbala tu shaam ko basa
ye khaafila……..
kuch bhi na kar jo raah may sehni hai saqtiyaan
sajjad mera khaafile ka hoga karwaan
naize pe tere saat hi jaayega sar mera
ye khaafila……..
shireen ka ghar bhi raah may aayega ay behan
tujhko agar pehchaan na paaye wo purmehan
kehna ke poora hogaya wada ay ghamzada
ye khaafila……..
ay zainab teri raah my aayega ek maqaam
hakim bulayega wahan le le ke sab ka naam
karna wahan bi sabr tu karna na bad-dua
ye khaafila……..
aisi bhi manzil raah may aayegi nowhagar
utthegi tere simpt jo napaak har nazar
quran sunayega wahin naize pe sar mera
ye khaafila……..
ek aisi basti aaeygi kuch pehle shaam se
takseem hogi chadare rahib ke naam se
phir cheen lenge chaadaray aakar wo ashqiya
ye khaafila……..
ay behna tera raah may hoga ye haal bhi
bache juda hojayenge jismo se khaal bhi
har gaam tere haal pe royengi sayyada
ye khaafila……..
ja zainab ja abaad kar zindaane shaam ko
zainab suladena wahi us tashna kaam ko
jis ke gauhar bhi chin gaye daaman bhi hai jala
ye khafila……..
shehzadi meri shaam se aayi jo karbala
karti thi apne bhai ki marqad pe ye buka
zindaan basa ke aagayi tumne jo ye kaha
ye khaafila……..
darbare zainab may dua hai mazhar abidi
roze pe hum jo jaaye to aaye ye hukm bhi
irfan haider aaj phir nowha wo tu suna
ye khaafila……..
1,853 Views