Ye Janaza Hai Ali Ka shahe khaibargeer ka
Ye Janaza Hai Ali Ka
aaj baba mar gaya hai shabbar o shabbir ka
fatema zehra ke marqad se sada aane lagi
ye masayeb reh gaya tha kya meri taqdeer ka
ya rasool-allah ye jibreel ne ro kar kaha
ek halqa aur toota noor ki zanjeer ka
kyun chalayi taygh hydar par bine muljim bata
qatl quran kar diya kaata gala tafseer ka
gham ali ki betiyon ke phir se taaza ho gaye
gham abhi bhooli kahan thi maadare dilgeer ka
naz’a may jaane ali ko kya khayaal aata raha
moo kabhi zainab ka dekha aur kabhi shabbir ka
betiyon ko dekhte hai aur rote hai ali
haaye wo zaalim tasavvur shaam ki tash-heer ka
chotay se abbas bhi rotay hai sar ko peet kar
bachpana abbas ka aur zakhm dil par teer ka
baap ki mayyat se zainab ka lipatna baar baar
dil hila deta tha rona shah ki hamsheer ka