●Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Kabhi Aye Haqeeqat e Muntazir, Nazar Aa Libas e Mijaz Main
Ky Hazaron Sajday Tarap Rahe Hain, Meri Jabeen e Niaz Main
●Woh Waqt Yaqeenan Ayega, Woh Waqt Yaqeenan Ayega
Jab Hujjat e Daur Ky Hathon Main, Ghazi Ka Alam Lehraye Ga
Woh Waqt Yaqeenan Ayega
●Jis Din Sajjad (as) Ky Ashqon Ki, Tadaad Bataye Jayegi
Aur In Ashqon Ky Badle Main, Talwar Chalaye Jayegi
Is Sar Sy Jism Juda Hoga, Talwar Sy Jo Takrayega
Alam Lehraye Ga, Woh Waqt Yaqeenan Ayega
●Har Ekk Mazloom Ki Ass Hai Yea, Hujjat Ka Shams Tullu Hoga
Phir Sham Jigar Sy Utregi, Sajjad (as) Ka Khatam Ruku Hoga
Phir Noor e Aman Youn Phelay Ga, Har Zulm Ko Rondha Jayega
Alam Lehraye Ga, Woh Waqt Yaqeenan Ayega
●Dadi Ka Haq Woh Mange Ga, Apni Talwar Ky Sath Kabhi
Jo Hath Ridain Loot’tay Hain, Kaat Jayengay Woh Hath Sabhi
Tatheer Ky Ghar Ki Surat Phir, Koi Ghar Na Loota Jayega
Alam Lehraye Ga, Woh Waqt Yaqeenan Ayega
●Abad Baqaiya Ga Jis Ja, Woh Roza Kaise Toota Hai
Kis Kis Ny Yahan Kaise Kaise, Sadat Ky Ghar Ko Loota Hai
Talwar Batati Jayegi, Woh Khoon Behta Jayega
Alam Lehraye Ga, Woh Waqt Yaqeenan Ayega
●Baghi Ki Baiti Jis Ny Bhi, Choti Bibi (sa) Ko Bola Tha
Namoos e Nabi Ko Rahon Main, Durun Sy Jis Ny Mara Tha
Un Sub Ko Bana Kar Qaidi Wo, Bazar e Sham Main Layega
Alam Lehraye Ga, Woh Waqt Yaqeenan Ayega
●Phir Ehlebait Madinay Main, Abad Karainge Ghar Apna
Aur Lainge Bani Hashim Mil Kar, Kuch Parday Daron Ka Badla
Abbas (as) Ki Chup Bhi Tootay Gi, Besher Bhi Taigh Uthayega
Alam Lehraye Ga, Woh Waqt Yaqeenan Ayega
●Gohar Mulkon Ki Sarhad Sy, Insa’n Taqseem Nahi Hoga
Haan Naam Nehad Mazahib Main, Qura’n Taqseem Nahi Hoga
Woh Adil Sari Dunya Ko, Ekk Adl Ka Shehar Banayega
Alam Lehraye Ga, Woh Waqt Yaqeenan Ayega