Siskiyan Ab Bhi Sunai Dey Rahi Hain Sakina Ki Qabar Say
Jo Kethi Hai Mere Baba Mai Tanha So Nahi Sakti Shimar Key Dar Say
Sahay Dukhray Na Janay Qaid Mei Kya Kya Sakina Nay
Kay Seena Baap Ka Hi Khaak Ko Samjha Sakina Nay
Nahi Bayti Koi Aisi Umar Saari Jo Baba Kay
Pyaar Ko Tarsay
Sakina Nay Kaha Bhaiya Mujhay Baba Say Milwado
Mujhay Lay Jao Un Kay Pas Ya Unko Hi Bulvado
Yeh Tanhai Say Behtartha Mai Rastay May Hi Mar Jaati
Thak Kay Safar Say
Tamachay Shimar Nay Mun Par Mere Maqtal May Maray Hain
Mere Kanon May Jo Thay Goshwaray Wo Utaray Hain
Meray Baba Bina Tere Keyamat Mujh Pay Yey Tooti
Pehlay Hashar Say
Ali Ki Baytiyo Ka Dard Hi Meri Ibaadat Hai
Mai Panjtan Ka Gada Gar Hun Yeh Ghazi Ki Inayat Hai
Mili Hai Bheek Akhtar Ko Jahan Mei Noha Khanon Ki
Zahra Kay Dar Say
2,137 Views