Sina Toot Gayi Hai
amma ki nigaho se mera zakm chupana
baba mere seene may sina toot gayi hai
is tarha kaleje may utar aayi hai barchi
seena nahi armaan bhi maa ke hue zakhmi
chaha tha meri maa ne mujhe dulha banana
baba mere seene….
jee chahta hai aap ki tasleem ko uthun
rutbe ka takhaza hai ke tazeem ko uthun
mushkil hai magar haath kaleje se hatana
baba mere seene….
mai jaanta hoo zid wo bahot tumse karegi
tanha tumhe zainab kabhi aane nahi degi
maqtal may meri paalne wali ko na laane
baba mere seene….
ye soch ke akbar ka phata jata hai seena
awaaz na sunle kahin masoom sakina
sajjad ko aahista zara jaake batana
ke baba mere seene….
allah kare laut ke tum jao watan ko
majbooriyan bhai ki batadena bahan ko
tum meri taraf se usay seene se lagana
ke baba mere seene….
qaatil ne sina todi takallum yehi kehkar
sunta hai ke saabir hai bahot sibte paymabar
akbar ne kaha sabr ki meraj dikhana
ke baba mere seene….
3,896 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot