Amma Achi Meri Amma
aakhri azan to sunli, amma achi meri amma
seene se lagalo marne ki riza do, amma achi meri amma
ay amma phuphi jaan ke do laal sidhaare, darya ka kanare
tum apne jawan laal ko shabbir pe waaro, amma achi meri amma
seene se lagalo….
sehra tere bete ke muqaddar may nahi tha, ab waqt ye aaya
poshak-e-shahani ko kafan mera banalo, amma achi meri amma
seene se lagalo….
wo dekho suye dashte bala maadar-e-muztar, ghayre hai sitamgar
kya baap ki nusrat na karoo mujko bata do, amma achi meri amma
seene se lagalo….
maana ke nahi bete ki furqat koi aasan, par kya karoo amma
ye sabr ki manzil hai zara dil ko sambhalo, amma achi meri amma
seene se lagalo….
kuch dayr may ye laal bhi kehlayega laasha, hai ek tamanna
bemaar-e-madina ko madine se bula lo, amma achi meri amma
seene se lagalo….
kya tumko gawara hai ke zinda rahe beta, aur qatl ho baba
mai is liye kehta hoo na jeene ki saza do, amma achi meri amma
seene se lagalo….
tadpogi shab-o-roz meri yaad may har dam, kerte huve matam
ek baar mujhe apne kaleje se laga lo, amma achi meri amma
seene se lagalo….
jo mazhar-o-irfan ke honton ke buka hai, akbar ki sada hai
jo kehte thay amma mujhe marne ki riza do, amma achi meri amma
seene se lagalo….
1,524 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot